Thursday, 27 October 2016

Best Mileage Bike In India – 90 To 96 Kmpl


Agar Aap Bhi Bike Buy Karne Ka Plan Bana Rahe Hain To Ab Market Mein Apke Liye Bahut Se Options Hain. India Main Best Mileage Bike Available Hain Jo Kafi Acha Average Deti Hain Aur Enki Range Bhi 50000 Rupee Tak Ki Hai. Jab Hum Koi Bhi Bike Buy Karne Ka Plan Banate Hain Toh Sabse Pehle Baat Ati Hai Ki Ye Bike Average Kitna Deti Hai? 

Petrol Ke Daam Din Pratidin Asman Chu Rahe Hain Aise Main Apni Car Ki Swari Karna Bhi Kafi Mehnga Padta Hai, Es Liye Sabse Acha Option Hai Ki Ache Average Wali Bike Li Jaye Jisse Ka Petrol Ka Kharcha Bhi Kam Ho Aur Hamari Jaib Par Bhi Asar Na Pade.
To Chaliye Jante Hain Ki India Main Aise Kon Kon Si Bikes Hain Jo Sasti Hone Ke Sath Sath Acha Mileage Bhi Deti Hain.
1. Hero Passion Pro
Cost – 50000 Rupee – Ex Showroom Price Delhi
Hero Passion Pro India Mein Sabse Jada Bikne Wali Bike Hai, Yeh Price Main Bhi Kam Hai Aur Acha Average Bhi Deti Hai.
Engine – 97cc
Mileage – 69 Kmpl
Power – 6.15 Kw
Torque – 9.36 Nm
2. Tvs Sports –
Price – 36000 Thousand Rupees Se 46000 Thousand Rupees – Ex Showroom Price Delhi
Tvs Sport Ek Entry Level Motorcycle Hai. Aur Eski Mileage Bhi Kafi Shandar Hai. Eske Ilawaa Es Bike Ka Look Bhi Dekhne Wala Hai. Waise Dekha Jaye Toh Tvs Sport Ka Look Star City Bike Se Milta Julta Hai.
Tvs Sport Bike Ke Features –
Engine – 99.77cc
Mileage – 95 Kmpl
Power – 7.8 Bhp
Torque – 7.8 Nm
4 Speed Transmission – Kick And Electric Start Ke Sath.
3. Bajaj City 100
Price – 31000 Thousand Rupees Se 38 Thousand Rupees – Ex Showroom Price.
2015 Mein Launch Hue Bajaj City 100 India Ki Sabse Sasti Bike Mein Se Ek Hai. 100cc Ki Yeh Bike 95 Kmpl Ka Mileage Deti Hai Aur Design Mein Bhi Iska Design Kafi Basic Sa Hai. Waise Ct100 Ko Bajaj Ke Sabse Popular Bike Boxer Ki Jagah Par Pesh Kiya Gaya Tha. Ct100 Bike Two Variants Mein Ati Hai – Spoks Wheels And Alloy Wheels Main.
Bajaj Ct100 Ke Features.
Engine – 99.3 Cc
Mileage – 90 Kmpl
Power – 8.5 Bhp
Torque – 8.05 Nm
4 Speed Transmission Ke Sath.
4. Hero Hf Dawn
Cost – 39000 Thousand Rupees – Ex Showroom Price – Delhi
Sabse Low Cost Bike Main Hero Hf Dawn Ka Naam Ata Hai, Es Bike Ki Mileage Bhi Kafi Achi Hai. Es Bike Ko 2002 Mein Hero Honda Don Ke Name Se Bhi Launch Kiya Gya Tha. Jisse Baad Mein Cd Dawn Aur Ab Hf Dawn Ke Name Se Jana Jata Hai.
Features Of Hero Hf Dawn Bike –
Engine – 97.22 Cc
Mileage – 87 Kmpl
Power – 6.15 Kw
Torque – 8.05 Nm
4 Speed Transmission Ke Sath. Kick And Electric Start.
5. Mahindra Pentero
Price – 39000 Thousand Se 43000 Thousand Rupees – Ex Showroom Price
Mahindra Pentero Bike India Ki 4th Number Par Ane Wali Sabse Sasti Bike Hai. Esse Mahindra Stallio Ke Baad Launch Kiya Gaya Tha. Waise Ye Bike Mahindra Stallio Ke Kafi Alag Hai.
Feature Of Mahindra Pentero Ke Features
Engine – 106.7 Cc
Mileage – 79.4 Kmpl
Power – 8.5 Bhp
Torque – 8.05 Nm
4 Speed Transmission Ke Sath.
Kick And Electric Ke Sath.
6. Bajaj Platina
Price – 43000 Thousand Rupees Se 45000 Thousand Rupees – Ex Showroom Price -delhi
Desh Ki Sabse Kam Price Ki List Mein Bajaj Platina Bhi Hai. Es Motorcycle Ko 2006 Mein Launch Kiya Tha.
Features Of Bajaj Platina Bike
Engine – 102 Cc
Mileage – 96.9 Kmpl
Power – 8.2 Bhp
Torque – 8.6 Nm
4 Speed Transmission
Kick And Electric Start Ke Sath.
7. Bajaj Discover
Agar Baat Bajaj Discover Ki Baat Ki Jaye Toh Look Wise Aur Price Ye Bike Bhi Kafi Sale Hoti Hai Market Main.
Price – 49000 Thousand Se 51000 Thousand Rupees – Ex Showroom Price – Delhi
Engine – 124.6 Cc
Mileage – 76 Kmpl
Power – 11 Ps
Torque – 10.8 Nm
8. Hero Honda I Smart
Price – 50 Thousand Rupees – Ex Showroom Price – Delhi
Engine – 97.2 Cc
Mileage – 75 Kmpl
Power – 7.8 Bhp
Torque – 8.04 Nm
9. Honda Dream Yuga
Price – 51000 Thousand Rupees – Ex Showroom Price – Delhi
Engine – 109 Cc
Mileage – 74 Kmpl
Power – 8.35 Bhp
Torque – 8.91 Nm
10. Tvs Star City Plus
Price – 44000 Thousand Se 48 Thousand – Ex Showroom Price – Delhi
Engine – 109 Cc
Mileage – 86 Kmpl
Power – 8 Bhp
Torque – 8.7 Nm
Toh Ye Thi Kuch Aise Bikes India Mein Jo Ki Mileage Toh Deti He Hain Aur Enki Performance Bhi Kafi Achi Hai. Ap Apne Budget Aur Requirement Ke Hisab Bike Buy Kar Sakte Hain. Bike Lene Ke Liye Festival Seasons Main Banks Apko Kam Interest Par Loan Bhi Provide Karate Hain
 
 

No comments:

Post a Comment